PM-Kisan e-KYC Kaise Kare — Kist Rukne Se Pehle Ye Karo
पीएम किसान ई-केवाईसी · · 5 minute me padho
PM-Kisan ki kist ruk gayi hai? Sabse bada karan e-KYC adhura hona hai. OTP e-KYC, biometric e-KYC aur bhulekh satyapan — teeno ka sahi tarika aur status check karne ki vidhi.

Kist kyun rukti hai?
e-KYC adhura, bank khate me Aadhaar seed na hona, ya bhulekh (zameen) satyapan pending — ye teen karan 90% mamlo me milte hain. Pehle status check karo, karan khud saamne aa jayega.
e-KYC ke 2 tarike
OTP e-KYC: Aadhaar me mobile link ho to pmkisan.gov.in par OTP se ho jaata hai. Biometric e-KYC: mobile link na ho to CSC par fingerprint se hota hai — ye hamari dukaan par turant ho jaata hai (service charge ₹60).
Status kaise check karein
PM-Kisan portal par Beneficiary Status me Aadhaar ya registration number dalne se har kist ki jaankari milti hai. Is website ke Track Status page par official link diya hai — ya dukaan par aao, status muft me check karke bata denge.